umr bhar chalte rahe hum waqt ki talwar par parwarish pai hai apne khun hi ki dhaar par chahne wale ki ek ghalati se barham ho gaya fakhr tha kitna use khud pyar ke mear par raat gahri meri tanhai ka sagar aur phir teri yaadon ke sulagte dip har manjdhaar par sham aai aur sab shakhon ki galiyan so gain maut ka saya sa mandlane laga ashjar par khalwat-e-shab mein ye aksar sochta kyun hun ki chand nur ka bosa hai goya raat ke rukhsar par sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main kuchh purane se calender zehn ki diwar par zindagi aazad pahle yun kabhi tanha na thi aadmi bahta tha yunhi waqt ki raftar par