umr bhar jis pe takiya raha kuchh na tha dil nahin manta

umr bhar jis pe takiya raha kuchh na tha dil nahin manta
kya karun tajzyon ka atal faisla dil nahin manta

kaund kar ek lamha jo phir ja mila waqt ke abr mein
chhod degi use waqt ki mamta dil nahin manta

ghup-andhere se leti hai kyun-kar janm raushni ki lagan
ye karishma nahin hai kisi shama ka dil nahin manta

khushk hi kyun na ho jae dariya mera lahr ban ban ke main
dhundhna chhod dun khushkiyon ka sira dil nahin manta

apne markaz ko ek wahm samjha kiya aql ka daera
jis ko kuchh apne dam-e-kashish ke siwa dil nahin manta

us ki taswir ko dekhte dekhte ye hua kya mujhe
yani behis hai taswir ki har ada dil nahin manta

dil mein kuchh hai zaban se nikalta hai kuchh baat aisi hai kuchh
mera matlab 'muhib' koi pa jaega dil nahin manta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close