namak in aansuon mein kam na tha par nam bahut achchha

namak in aansuon mein kam na tha par nam bahut achchha
gharon mein dana-e-gandum na tha matam bahut tha

meri aankhon pe bhi zartar parde jhulte the
tere baalon mein bhi kuchh in dinon resham bahut tha

maze sare tamasha-gah-e-duniya mein uthae
magar ek baat jo dil mein thi jis ka gham bahut tha

siyahi raat ki pichhe samundar din ka aage
sitara subh ka meri tarah maddham bahut tha

badalte ja rahe the jism apni haiaten bhi
ki rasta tang tha aur yun ki us mein kham bahut tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close