umr bhar pesh-e-nazar mah-e-tamam aate rahe

umr bhar pesh-e-nazar mah-e-tamam aate rahe
chand chehre aaina-khane ke kaam aate rahe

chand qatre bhi na tapke khwahishon ki ret par
kaise kaise abr the baala-e-baam aate rahe

mere mazi ke ufuq par chand jugnu the ki jo
haal ki tira-shabi mein mere kaam aate rahe

main hawas ke gird chahat ka hunar banta raha
us ke khat meri wafadari ke nam aate rahe

hae wo shirin tamanna aur wo tiflana khu
hum sada jis ke liye khud zer-e-dam aate rahe

tum hisar-e-waqt mein suraj bane baithe rahe
aur gardish ke liye khud subh o sham aate rahe

umr bhar khwabon ki manzil ka safar jari raha
zindagi bhar tajrabon ke zakhm kaam aate rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close