ye moajaza hai ki main raat kat deta hun na jaane kaise tilismat kat deta hun wo chahte hain ki har baat man li jae aur ek main hun ki har baat kat deta hun nami si tairti rahti hai meri aankhon mein ba-ikhtiyar main barsat kat deta hon tera khayal hi ab mera ism-e-azam hai isi se sare khayalat kat deta hun ye raat katti rahti hai subh tak mujh ko na jaane kaise main har raat kat deta hun