umr-e-abad se KHizr ko be-zar dekh kar

umr-e-abad se khizr ko be-zar dekh kar
khush hon fusun-e-nargis-e-bimar dekh kar

kya jalwa-gah-e-hasrat-e-nazzara hai bahisht
hairan hun surat-e-dar-o-diwar dekh kar

baada ba-qadr-e-zarf sahi rasm-e-mai-kada
saqi nazakat-e-dil-e-mai-khwar dekh kar

ab justuju-e-dost ki manzil kahin bhi ho
hum chal pade hain rah ko dushwar dekh kar

shayan-e-jurm-e-ishq na thi qaid-e-zindagi
ji shad ho gaya rasan-o-dar dekh kar

ab is se kiya gharaz ye haram hai ki dair hai
baithe hain hum to saya-e-diwar dekh kar

ab hashr tak hijab-nashin hai nigah-e-shauq
chhupna tha rang-e-hasrat-e-didar dekh kar

raaz-e-farogh-e-akhir-e-shab kuchh na khul saka
kyun khush hai shama subh ke aasar dekh kar

saz-e-ghazal utha hi liya hum ne ai 'rawish'
is chashm-e-nim-baz ka israr dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close