un ke paikan pe paikan chale aate hain

un ke paikan pe paikan chale aate hain
dil mein ghar karne ko mehman chale aate hain

dekh kar aae hain kya aariz o gesu un ke
log hairan pareshan chale aate hain

chaar angul ka wo parcha nahin likhte mujh ko
pas-e-aghyar ke farman chale aate hain

apni mahfil mein mujhe dekh ke kahta hai wo but
kyun mere ghar mein musalman chale aate hain

bazm-e-aghyar mein kis shakhs ne gustakhi ki
ki wo khamosh pasheman chale aate hain

dosh-e-ahbab ye aage hai janaza mera
pichhe sar pitte arman chale aate hain

kya bataen ki 'nasim' aate hain kyun aap ke ghar
muft hone ko pasheman chale aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close