unki nigah-e-naz ke Thukrae hue hain

un ki nigah-e-naz ke thukrae hue hain
hum jurm-e-mohabbat ki saza pae hue hain

ye saya-nashinan-e-guzar-gah-e-tamanna
kuchh ishq ke kuchh aql ke bahkae hue hain

ab un ko nai subh ke paigham suna do
jo tirgi-e-waqt se ghabrae hue hain

mai chhalkegi mai ublegi mai barsegi rindo
mai-khane mein khud shaikh-e-haram aae hue hain

tauba nahin tutegi subu aae ki khum aae
mai-kash teri aankhon ki qasam khae hue hain

un ashkon ke qatron ko bhi be-maya na samjho
mazlumon ki aankhon mein jagah pae hue hain

ab un ke taghaful ka 'wafa' zikr na chhedo
dekho to wo kis naz se sharmae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close