us aankh se wahshat ki tasir uTha laya

us aankh se wahshat ki tasir utha laya
main jagte rahne ki tadbir utha laya

main niyat-e-shab-khun se kheme mein gaya lekin
dushman ke sirhane se shamshir utha laya

wo subh-e-rihai thi ya sham-e-asiri thi
jab main dar-e-zindan se zanjir utha laya

aawara-mizaji par harf aane se pahle hi
dil tere taghaful ki taswir utha laya

ai khwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein
andesha-e-duniya ki tabir utha laya

wo sang-e-malamat tha jis ko tera dil kah kar
us kuche se mujh jaisa rah-gir utha laya

us shakhs se main sab ko ujlat mein mila baitha
aur apne liye kaisi takhir utha laya

maidan-e-shikayat se kya apne siwa lata
ek ranj tha main jis ki tamir utha laya

us bazm-e-sukhan mein hum kya pahunche ki shor uttha
lo 'azm' koi zakhmi tahrir utha laya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close