us gul ko bhejna hai mujhe khat saba ke hath is waste laga hun chaman ki hawa ke hath barg-e-hina upar likho ahwal-e-dil mera shayad ki ja lage wo kisi mirza ke hath aazad ho raha hun do aalam ki qaid se mina laga hai jab se ki kuchh be-nawa ke hath marta hun mirzai-e-gul dekh har sahar suraj ke hath chunari to pankha saba ke hath 'mazhar' chhupa ke rakh dil-e-nazuk ko apne tu ye shisha bechna hai kisi mirza ke hath