us nigah-e-naz ne yun raat-bhar tajsim ki

us nigah-e-naz ne yun raat-bhar tajsim ki
sab charaghon mein barabar raushni taqsim ki

raat pichhe pad gai thi khauf ke sae liye
khwab se aage nikal kar waqt mein tarmim ki

aaina ho jaega ye dasht mujh par ek din
girhen khulti ja rahi hain ahsan-e-taqwim ki

donon hi aa kar alif ki raushni mein zam huin
ek tajalli lam ki aur ek tajalli mim ki

shahd ka bhi zikr ho sakta tha hone ko magar
us ke lahje ke mutabiq baat chhedi nim ki

main hi tha apne muqabil khwahishon ki dor mein
haarna mushkil laga so jit hi taslim ki

dost lekin tujh ko ye izzat na ras aai kabhi
main ne apne aap se badh kar teri takrim ki

sham hote hi charaghon ko sajaya taq mein
sara din so kar guzara raat ki tazim ki

umr-bhar suraj ke aage hath phailae magar
ek sitare ne mujhe ye raushni talim ki

khinch kar aflak pe ek surmai raushan lakir
chand ne surat badal dali hamari theem ki

main ne 'zeb' us ko mohabbat mein kaha tha mujh se mil
us ne meri baat ki kitni ghalat tafhim ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close