usne koi to dam paDha hua hai

us ne koi to dam padha hua hai
jis ne dekha wo mubtala hua hai

ab tere raste se bach niklun
ek yahi rasta bacha hua hai

aao taqrib-e-ru-numai karen
panw mein ek aabla hua hai

phir wahi bahs chhed dete ho
itni mushkil se rabta hua hai

raat ki wardat mat puchho
waqai ek waqia hua hai

lag raha hai ye narm lahje se
phir tujhe koi masala hua hai

main kahan aur wo fasil kahan
fasle ka hi faisla hua hai

itna masruf ho gaya hun ki bas
'mir' bhi ek taraf pada hua hai

aaj kuchh bhi nahin hua 'jawwad'
han magar ek saneha hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close