us se gile shikayaten shikwe bhi chhoD do

us se gile shikayaten shikwe bhi chhod do
dar us ka chhut gaya to dariche bhi chhod do

kaisa hai wo kahan hai bana kis ka ham-safar
behtar hai kuchh sawal adhure bhi chhod do

ek bewafa ka nam likhoge kahan talak
auraq apne mazi ke sade bhi chhod do

jine ke waste na sahaare karo talash
jab dub hi rahe ho to tinke bhi chhod do

shayad nae makan mein un ka na dil lage
ghar chhodne lago to parinde bhi chhod do

jis ne tumhein charaghon se mahrum kar diya
us ki gali ke chand sitare bhi chhod do

dariya se dur rahna hi behtar hai ab 'shakil'
dhaare se kat gae to kinare bhi chhod do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close