uske siwa kya apni daulat

us ke siwa kya apni daulat
soz-e-tamanna dard-e-basirat

apne alawa kaun milega
kis se karne jaen adawat

sikkon ka bazar hai duniya
milti kya ehsas ki qimat

nakhun-e-dauran aur ghazab tha
bharta bhi kya zakhm-e-farasat

har dhadkan afsana ban kar
khol rahi hai dil ki haqiqat

zakhmon phulon ki ye duniya
dil ka jahannum aankh ki jannat

kitne tajarbe ek tamanna
kitne khwab aur ek mohabbat

but-kada-e-fan teri khatir
gadhta hun takhil ki murat

karte 'hurmat' ki gham-khwari
gham ne kahan di itni mohlat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close