jagti haqiqat tak rasta hai KHwabon ka

jagti haqiqat tak rasta hai khwabon ka
darmiyan mere un ke fasla hai khwabon ka

ek shab ke tukdon ke nam mukhtalif rakhe
jism-o-ruh ka bandhan silsila hai khwabon ka

dekhen is kashakash ka ikhtitam ho kab tak
jagne ki khwahish hai hausla hai khwabon ka

apni apni tabiren dhundhta hai har chehra
chehra chehra padh lije tazkira hai khwabon ka

nashshe ka ye aalam hai sach hi sach lage sab kuchh
zindagi ki sahba hai mai-kada hai khwabon ka

gard-e-rah ki surat sans sans hai ai 'nur'
mir-e-karwan main hun qafila hai khwabon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close