uTho yahan se kahin aur ja ke so jao

utho yahan se kahin aur ja ke so jao
yahan ke shor se bhago kahin bhi kho jao

lahu lahu na karo zindagi ke chehre ko
sitamgaron ki nawazish se dur ho jao

kahan phiroge ghubar-e-safar ko sath liye
mata-e-dard ko daman mein le ke so jao

karam ki bhik kahan qatilon ki basti mein
badan ka khol uthao lahad mein so jao

ye saya-dar shajar to fareb dete hain
khizan ke sath raho aandhiyon ke ho jao

ye zindagi to farebon ka aaina thahri
ab apni khoj mein bhatko farar ho jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close