wa-e-nadani ye hasrat thi ki hota dar khula

wa-e-nadani ye hasrat thi ki hota dar khula
hum qafas raaz-e-asiri kya kahen kyunkar khula

fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhadkon ne hae
ab chhuri sayyaad ne li ab qafas ka dar khula

allah allah ek dua-e-marg ke do do asar
wan khula bab-e-ijabat yan qafas ka dar khula

uf is aazadi-e-be-hangam ki majburiyan
main qafas ke pas yun baitha hi rahta par khula

ujlat-e-parwaz jab milne bhi de rah-e-gurez
yun to khulne ko qafas ka dar khula aksar khula

band hai bab-e-qafas ho sar to patke jaiye
hum ne dekha hai qafas ki tiliyon mein dar khula

kam to kya sayyaad be-tabi siwa ho jaegi
tu ne nahaq tiliyon mein rakh diya khanjar khula

aasman garam-e-talafi chahiye kaisa qafas
bijliyon ke ek ishaare mein qafas ka dar khula

likh chuke hum ja chuka khat gar yahi haalat rahi
hath mein aaya qalam aur shauq ka daftar khula

dil mein zakhm ashkon mein khun surat ba-bin-alam-mapras
wo nigah uf wo mizha nawak chhupa nashtar khula

dam-ba-khud sakte ka aalam murdani chhai hui
rang meri zindagi ka meri mayyat par khula

dil mein tera dhyan ek muddat raha begana-war
khulte hi khulte khula aur kya hi sharma kar khula

dekhiye kya gul khilati hai bahaar ab ke baras
khwab mein 'fani' ne dekha hai qafas ka dar khula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close