wafa khulus ka singar roz karti hai yun dhire dhire meri zindagi sanwarti hai koi hayat zamane ko hai aziz bahut koi hayat hai ki roz roz marti hai tere charagh ka fanus khud hawa hai aur mere charagh se zalim hawa guzarti hai to phir wajud-e-imarat nazar ka hai dhoka jab int int hi tamir se mukarti hai dua ye kijiye yaron ki hosh mein aaun meri nigah mohabbat talash karti hai na khud ke rahta hai insan na dusron ke qarib koi hasin shanasai jab bikharti hai sitamgaron ko ibaadat-guzar mat jaano khuda ki bandagi 'azhar' khuda se darti hai