wahi aangan wahi khiDki wahi dar yaad aata hai

wahi aangan wahi khidki wahi dar yaad aata hai
akela jab bhi hota hun mujhe ghar yaad aata hai

meri be-sakhta hichki mujhe khul kar batati hai
tere apnon ko ganw mein to akasr yaad aata hai

jo apne pas hon un ki koi qimat nahin hoti
hamare bhai ko hi lo bichhad kar yaad aata hai

saphalta ke safar mein to kahan fursat ki kuchh sochen
magar jab chot lagti hai muqaddar yaad aata hai

may aur june ki garmi badan se jab tapakti hai
nowember yaad aata hai december yaad aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close