wahi din hai khauf-o-hiras ka wahi haal abhi bhi hai pyas ka wahi sham bistar-e-marg si wahi silsila shab-e-yas ka wahi aasman hai wahi faza wahi nashsha sham pe hai bapa wahi dur shahr se hai jagah wahi sabz farsh hai ghas ka na rahe bashir-o-nazir hum na rahe fahim-o-basir hum na dikhai deta hai dur ka na nazar hi aata hai pas ka tujhe chahiye jo koi khabar meri kawishon mein talash kar mera e'tibar hai aql par main asir kab hun qayas ka jo ghina ke sut se ho bana jo raza ki sui se ho sila jo ranga ho shukr ke rang se mujhe shauq aise libas ka