yun to kahne ke liye subh ke aasar bhi the

yun to kahne ke liye subh ke aasar bhi the
main raha chup ki mere samne kohsar bhi the

khauf se chikhne walon mein akela main tha
log sahme hue lekin pas-e-diwar bhi the

tez aandhi mein faqat hum gire aisa to nahin
dur tak rah mein ukhde hue ashjar bhi the

umr bhar jis ki talab ne rakha mahsur hamein
hum hi us shahr-e-tilismat ke meamar bhi the

tha hamin se kabhi tahzib-o-tamaddun ka waqar
hum kabhi shakh-e-gul-e-tar kabhi talwar bhi the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close