wahi ek fareb hasrat ki tha baKHshish-e-nigaran

wahi ek fareb hasrat ki tha bakhshish-e-nigaran
so qadam qadam pe khaya ba tariq-e-pukhta-karan

wo chale khizan ke dere ki hai aamad-e-bahaaran
shab-e-gham ke rah-nashinon kaho ab salah-e-yaran

mere aashiyan ka kya hai mera aasman salamat
hain mere chaman ki raunaq yahi barq-o-baad-o-baran

na sahi pasand-e-hikmat ye shiar-e-ahl-e-dil hai
kabhi sar bhi de diya hai ba-salah-e-dost-daran

rahe husn ban ke aakhir jo khayal udhar se guzre
ye kidhar ki chandni thi sar-e-khak-e-rah-e-guzaran

mere ek dil ki khatir ye kashakash-e-hawadis
tere ek gham ke badle ye hujum-e-gham-gusaran

meri wahshaton ne jis ko na bana ke raaz rakkha
wahi raaz hai ki ab tak hai miyan-e-raaz-daran

kisi manchale ne bheja hai mai-e-sukhan se bhar kar
ki ye saghar-e-dil-afza hai ye nazr-e-dil-nigaran


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close