ummid ke ufuq se na uTTha ghubar tak

ummid ke ufuq se na uttha ghubar tak
dekhi agarche rah-khizan se bahaar tak

rakhne ko tere wada-e-na-mo'tabar ki laj
jheli hai dil ne zahmat-e-sabr-o-qarar tak

dekha hai kis ne munh sahar-e-jalwa-saz ka
sab walwale hain ek shab-e-intizar tak

sayyaad ke sitam se rihai ka zikr kya
sau dam the qafas se sar-e-shakh-sar tak

matam ye hai ki zauq-e-fughan bhi nahin nasib
be-soz ho gaya nafas-e-shola-kar tak

jati hai dil ki hasrat-e-nazzargi kahan
nazzara ho gaya hai nigahon pe bar tak

kya us ki shan-e-banda-nawazi ka puchhna
bakhsha hai muflison ko gham-e-shah-war tak

phir us ke baad dil mein na utri koi nigah
wo teziyan rahin tere khanjar ki dhaar tak

'haqqi' se sargiran hi sahi nukta-dan-e-sher
ek rang hai ki hai kuchh isi jaan-e-haar tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close