wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai wo jo kaifiyat nashe ki mai-e-khush-gawar mein hai ye chaman ki aarzu hai koi lut le chaman ko ye tamam rang-o-nikhat tere ikhtiyar mein hai tere hath ki bulandi mein farogh-e-kahkashan hai ye hujum-e-mah-o-anjum tere intizar mein hai bas usi ko todna hai ye junun-e-nafa-khori yahi ek sard khanjar dil-e-rozgar mein hai abhi zindagi hasin hai abhi zikr-e-maut kaisa abhi phul khil rahe hain abhi to kanar mein hai abhi mai-kada jawan hai abhi mauj mein hai saqi abhi jam raqs mein hai abhi mai bahaar mein hai yahi mera sher-o-naghma yahi meri fikr-o-hikmat jo suru-o-dard-mandi dil-e-be-qarar mein hai