wahi ki jis mein ghurur-e-shahi milaya gaya

wahi ki jis mein ghurur-e-shahi milaya gaya
mera khamir usi khak se uthaya gaya

ab us pe chand sitare bhi rashk karte hain
wo ek diya jo kabhi dasht mein bujhaya gaya

ugegi fasl mazafat mein baghawat ki
fasil-e-shahr se mujh ko agar giraya gaya

magar main zat ke sahra mein mahw-e-raqs raha
mujhe bhi koh-e-nida ki taraf bulaya gaya

mere liye tere kheton mein bhuk ugti hai
mere liye to ye gulshan nahin sajaya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close