wahi ladki wahi ladka purana kahin hota hai ye qissa purana akele-pan mein ab ek tazgi hai hua jata hai har rishta purana jahan-e-aql ka insan jahil naya jughrafiya naqsha purana jahan dekho wahi farsuda manzar jidhar niklo wahi rasta purana naya shair bhi uljha hai zaban mein ye ustadon se bhi nikla purana na uktao jo be-par ki udae ki 'zahid' yar hai apna purana