nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de fasana tur ka tajdid ai jazb-e-rasa kar de mita de zauq-e-mahwiyyat se khalwat aur jalwat ko agar tu kar sake dil ko harim-e-dil-ruba kar de hijabaat-e-nazar kab tak kahan tak dil ki mahrumi madad ai shauq nazron ko qayamat-azma kar de bana hai mai-kada ahl-e-hawas ki bazm ai saqi tera tark-e-talluq dekhna jaane na kya kar de ba-majburi ba-akhir ye mujhe kahna hi padta hai bahut pur-fan hui duniya nigahon ko khafa kar de tere naghme surur-o-kaif mein ai 'taj' dhalte hain hadis-e-husn-o-ulfat ko dilon ka muddaa kar de