wahi meri kam-nasibi wahi teri be-niyazi

wahi meri kam-nasibi wahi teri be-niyazi
mere kaam kuchh na aaya ye kamal-e-nai-nawazi

main kahan hun tu kahan hai ye makan ki la-makan hai
ye jahan mera jahan hai ki teri karishma-sazi

isi kashmakash mein guzrin meri zindagi ki raaten
kabhi soz-o-saz-e-'rumi' kabhi pech-o-tab-e-'raazi'

wo fareb-khurda shahin ki pala ho kargason mein
use kya khabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shahbazi

na zaban koi ghazal ki na zaban se ba-khabar main
koi dil-kusha sada ho ajami ho ya ki tazi

nahin faqr o saltanat mein koi imtiyaz aisa
ye sipah ki tegh-bazi wo nigah ki tegh-bazi

koi karwan se tuta koi bad-guman haram se
ki amir-e-karwan mein nahin khu-e-dil-nawazi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close