wahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhen bhulne mein zamane lage hain wo hain pas aur yaad aane lage hain mohabbat ke hosh ab thikane lage hain suna hai hamein wo bhulane lage hain to kya hum unhen yaad aane lage hain hatae the jo rah se doston ki wo patthar mere ghar mein aane lage hain ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne mein mujh ko zamane lage hain hawaen chalin aur na maujen hi utthin ab aise bhi tufan aane lage hain qayamat yaqinan qarib aa gai hai 'khumar' ab to masjid mein jaane lage hain
This is a great bhulne ki aadat shayari. Please share if you liked this!!!