waise tu mere makan tak tu chala aata hai phir achanak se tere zehn mein kya aata hai aahen bharta hun ki puchhe koi aahon ka sabab phir tera zikr nikalta hai maza aata hai tere khat aaj latifon ki tarah lagte hain khub hansta hun jahan lafz-e-wafa aata hai jate-jate ye kaha us ne chalo aata hun ab yahi dekhna hai jata hai ya aata hai tujh ko waise to zamane ke hunar aate hain pyar aata hai kabhi tujh ko bata aata hai