wajud-e-KHak se bahar nikal dega wo

wajud-e-khak se bahar nikal dega wo
mujhe bhi apne sarape mein dhaal dega wo

main jaanta hun mohabbat mein haarne ke baad
sabhi ke samne meri misal dega wo

shikoh-e-bakht pe masrur shakhs ko aakhir
kisi faqir ke qadmon mein dal dega wo

main us ke haq mein yahan aakhiri dua-go hun
mujhe bhi apni safon se nikal dega wo

koi to shakl hai maujud mujh mein bhi 'shahzad'
main sang hun to mujhe khadd-o-khal dega wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close