wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha
lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi hona tha

sunahri hath mein taza lahu ki fasl na di
ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha

bagula ban ke samundar mein khak udana thi
ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi hona tha

mere hi harf dikhate the meri shakl mujhe
ye ishtihaar mere ru-ba-ru bhi hona tha

kashish thi phul si is mein to la-muhaala mujhe
asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha

saza to milna thi mujh ko barahna lafzon ki
zaban ke sath labon ko rafu bhi hona tha

safar ka bojh uthane se peshtar 'sajid'
mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close