waqt ka kya hai mere yar badal jata hai

waqt ka kya hai mere yar badal jata hai
aag lagti hai to bazar badal jata hai

hum darakhton ke to phal bhi nahin badle ab tak
in parindon ka to ghar-bar badal jata hai

khwab har bar sadaen diye rah jate hain
ek irada hai ki har bar badal jata hai

raat bhar wasl-e-musalsal mein magan rahta hun
aankh khulti hai to kirdar badal jata hai

man leta hun tujhe mujh se mohabbat hogi
par mohabbat mein adakar badal jata hai

bain karte hue 'ahmad' ko ye malum nahin
bain se ranj ka mear badal jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close