waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain din dhalte hi badh jata hai qad se khud saya sain dhundne wale pa leti hain ant samundar ka sain thah mili nahin jis ki kisi ko dil hai wo dariya sain manzil-e-ishq mein aise aise hosh-ruba kuchh mod mile rah dikhane wale ghar ka bhul gae rasta sain ishq ke tufani dariya mein jo duba wo par gaya kachche ghade ne beach bhanwar mein kis ka sath diya sain ye data ki den hai baadal ghir ke samundar par barsa aur kinare pyasa koi qatre ko tarsa sain jo tufan aaya tha us ke ab koi aasar nahin qulzum-e-dard mein dil ka safina kab ka dub gaya sain kan mein mere chupke chupke kaun ye kahta hai 'ishqi' har din duniya wahi purani har shab khwab naya sain