mera qissa bhi aaega wafa ki dastanon mein

mera qissa bhi aaega wafa ki dastanon mein
mujhe mat dhundte rahna jafa ki dastanon mein

main bint-e-hawwa ek din mein badal dungi zamane ko
mujhe mat qaid kar naz-o-ada ki dastanon mein

nazar-andaz mujh ko kar nahin sakti kabhi duniya
mujhe likkha gaya zehn-e-rasa ki dastanon mein

mera dil todne wale kabhi socha hai ye tu ne
tera hi nam aaega saza ki dastanon mein

zara puchho hawaon se ki ye kaise moattar hain
mujhe paoge tum baad-e-saba ki dastanon mein

mere shanon pe lahraate hue baalon ko mat chhedo
meri zulfen bhi shamil hain ghata ki dastanon mein

khula rakkha 'iram' ne dil ka darwaza teri khatir
mera hi tazkira hoga wafa ki dastanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close