wasl banne ka kuchh banaw nahin wan laga dil jahan lagaw nahin panw kyun dabne nahin dete gar kisi ka tumhein dabaw nahin zakhm-e-dil ka ilaj kya kije qabil-e-marham apna ghaw nahin aise dariya mein bah chale hain ki aah! jis mein tapu nahin hai naw nahin hai bahut jalwa-gah-e-yar buland dekhen kya yan se kuchh dikhaw nahin bal be teri sajawaten allah kuchh qayamat hai ye banaw nahin dastaras wan zara nahin aur hae dil mein kya kya hamare chaw nahin le ke dil yun kahe hai chitwan mein ab meri bazm mein tum aao nahin dard-e-pinhan se ji hi nikle hai kya kahen tum se kuchh chhupaw nahin gar safar ko sidhaare ho to aao ja ke wan chhawni tu chhaw nahin kyunki 'jurat' lagaen hum lagga ki farishte ka wan lagaw nahin aur to aur chori chori se baat kar lene ka bhi daw nahin