wasl o fasl ki har manzil mein shamil ek majburi thi

wasl o fasl ki har manzil mein shamil ek majburi thi
tujh se milte to kya milte khud se bhi mahjuri thi

wasl ke sare lamhe jhute milna qarz-e-judai tha
sath hamare pahlu-ba-pahlu qurb ke bhes mein duri thi

aahon ki tamiren ki thin sabr ke bagh lagae the
shahr-e-wafa mein mehnat-e-jaan ki roz nai mazduri thi

baaten lakhon kuchh bhi kahiye lekin us ke baad ye fikr
jaane kya kahna bhule hain koi baat zaruri thi

qissa chheda mehr o wafa ka awwal-e-shab un aaankhon ne
raat kati aur umr guzari phir bhi baat adhuri thi

baad mein kya anjam hua ye aage padhne wale bataen
us ki kitab-e-dildari ki pahli jild to puri thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close