wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain

wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain
kabhi hain dil mein kabhi jigar mein kabhi nazar mein sama rahe hain

junun-nawazi hai meri fitrat isi se hasil hai mujh ko rahat
jo mujh se hosh-o-khirad ne chhina junun ke sadqe wo pa rahe hain

jigar ko rokun ya dil ko thamun ilahi kis kis ko main sambhaalun
mere tasawwur ki anjuman mein wo aaj ban-than ke aa rahe hain

lagai dil mein kuchh aisi tu ne ye aatish-e-sozish-e-mohabbat
bhadak rahi hai ye utna paiham hum us ko jitna bujha rahe hain

ye rah-e-ulfat ki thokaren hain inhen na manzil samajh ke thahro
qadam badhao wo qafila hai tumhaare sathi bula rahe hain

hain rahrawan-e-rah-e-mohabbat nirali rasmen nirali fitrat
jahan luta karwan-e-ulfat wahin pe manzil bana rahe hain

na hum ko sher-o-sukhan se matlab na ishrat-e-anjuman se matlab
kisi ko 'iqbaal' dastan-e-gham-e-mohabbat suna rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close