wo aaj lauT bhi aae to is se kya hoga

wo aaj laut bhi aae to is se kya hoga
ab us nigah ka patthar se samna hoga

zamin ke zakhm samundar to bhar na paega
ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpna hoga

hazar neze udhar aur main idhar tanha
meri shikast ka unwan hi dusra hoga

jo tez dhup mein sayon ki fasl bote hain
yahan ki aab o hawa ka unhen pata hoga

main aur ek qadam us ki samt badh jata
pata na tha ki wo itna gurez-pa hoga

mera yaqin hai ki rah-e-wafa mein mere baad
mera safar tere qadmon ne tai kiya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close