ab to apne pas hain kewal bichhDe yaron ki taswiren

ab to apne pas hain kewal bichhde yaron ki taswiren
khali dastar-khwan pe jaise hon pakwanon ki taswiren

majburi ke pinjre se main tum ko jate yun takta hun
jaise parinda dekh raha ho udte parindon ki taswiren

ek tasawwur aisa bhi hai hum tum sath mein baithe hon aur
apne bachche khinch rahe hon phir hum donon ki taswiren

aaj to aise bijli chamki barish aai khidki bhigi
jaise baadal khinch raha ho mere ashkon ki taswiren

ek ek kar ke main ne apne chehre gine jab tauba tauba
chhoti si diwar ke upar itne chehron ki taswiren

kamre ki taswir gawah hai dil mein bhi tum hi rahte ho
warna ghar mein kaun sajata hai yun ghairon ki taswiren

aa bhi jao taswiron se kab tak dil bahlaen aakhir
darwazon se par nahin kartin darwazon ki taswiren


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close