wo chaal chal ki zamana bhi sath chalne lage

wo chaal chal ki zamana bhi sath chalne lage
nigar-e-zist teri samt rukh badalne lage

wafur-e-yas mein muzhda hai kis ke aane ka
ye aaj kyun sar-e-mizhgan charagh jalne lage

zamana pher le aankhen to kya gila us ka
sitam to ye hai ki tum bhi nazar badalne lage

mujhe ye dar hai ba-in wasf-e-ehtiram-e-wafa
na teri chashm-e-mohabbat kahin badalne lage

ye dagh-e-sajda to nang-e-jabin hai ai zahid
agar na soz-e-mohabbat se dil pighalne lage

na puchh kis nigah-e-khas ka tasarruf hai
qadam jo rah-e-mohabbat mein khud sambhalne lage

'hamid' sham-e-ghariban ka kis liye shikwa
wo dekh jaanib-e-manzil charagh jalne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close