wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai

wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai
sine ki kasak kis tarah mite har dagh-e-kuhan taza hi to hai

tu sath kahan lekin ab tak har rahguzar-e-tanhai par
jo aage aage chalta hai ai dost koi tujh sa hi to hai

is tair-e-awara ke liye yun jal na bun ummidon ke
udta hua lamha jaise abhi roke se tere rukta hi to hai

malum nahin kis waqt ye kya bartaw kisi se karti hai
duniya se koi ummid na rakh mayus na ho duniya hi to hai

kirnen nae din ke suraj ki phailengi to gum ho jaega
tarik hai jis se dil ka ufuq guzri shab ka saya hi to hai

lamhon ke hujum-e-gurezan mein ek lamha jise apna kahiye
jaan de ke bhi hath aa jae agar mahnga kab hai sasta hi to hai

'makhmur' taaqub kar dekho kuchh dur nahin hath aa jae
ek gum-shuda khushbu ka jhonka aangan se abhi guzra hi to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close