wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi

wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
shayad ab un ko mujh se mohabbat nahin rahi

ghabra raha hun kyon ye gham-e-narawa se ab
kya mujh mein gham ke sahne ki taqat nahin rahi

tum kya badal gae ki zamana badal gaya
taskin-e-dil ki ab koi surat nahin rahi

jine ko ji rahe hain tumhaare baghair bhi
is tarah jaise jine ki hasrat nahin rahi

shayad koi hasin idhar se guzar gaya
wo dard-e-dil ki pahli si haalat nahin rahi

jage ho raat mahfil-e-aghyar mein zarur
aankhon mein ab wo kufr ki zulmat nahin rahi

jab kar diya khizan ne wo rangin chaman tabah
wo husn ab kahan wo malahat nahin rahi

zahid mein hai na zohd na rindon mein mai-kashi
phulon mein husn ghunchon mein rangat nahin rahi

han ai 'hayat' hum ne zamane ke dukh sahe
phir bhi hamein kisi se shikayat nahin rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close