zamin ke zarre zarre nala-o-fariyaad karte hain

zamin ke zarre zarre nala-o-fariyaad karte hain
chale aao dar-o-diwar tum ko yaad karte hain

maza aata hai kuchh un ko hamara dil dukhane mein
kabhi hum nala karte hain kabhi fariyaad karte hain

bata de ai nazar se dur rah kar ruthne wale
kisi ki is tarah duniya-e-dil barbaad karte hain

mariz-e-hijr ki baalin pe tum ek bar aa jate
tumhaare chahne wale tumhin ko yaad karte hain

zaban-e-be-zabani ki 'hayat' ab intiha ye hai
hamein jis ne bhula dala use hum yaad karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close