wo dilkashi wo tasawwur kisi nazar mein nahin

wo dilkashi wo tasawwur kisi nazar mein nahin
tumhaare jaisi koi shai hamare ghar mein nahin

ye zindagi bhi ajab chiz hai khuda ki panah
ise sambhaal ke rakhna mere hunar mein nahin

ye kis ki aah ki phunkar hai ki ab ke baras
tumhaare honton ki koi dua asar mein nahin

main ek umr se hun shamil-e-safar logo
magar ye kya ki mere panw rahguzar mein nahin

tamam kutub-o-rasail waraq waraq dekhe
bahut dinon se 'asad' tum kisi khabar mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close