wo hua hi nahin jo socha tha

wo hua hi nahin jo socha tha
mera ho kar bhi kab wo mera tha

wo tasawwur ke jal mein uljha
dhundh sa ek udas chehra tha

har ghadi us ke ghar ka darwaza
meri khatir khula hi rahta tha

chhin li us ne meri binai
main ne ek khwab hi to dekha tha

us ko bhi lag gai khizan ki nazar
shakh par aakhiri jo patta tha

ratjage ki thaki thaki aankhen
sochti hun wo kitna tanha tha

ek bargad ka ped tha us par
ek aaseb tha jo latka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close