wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka aakhir yahi hua ki chhupaya na ja saka aate hi un ke dasht o jabal muskura uthe aise mein apna haal sunaya na ja saka gardun bhi iztirab-e-azizan se hil gaya soe kuchh aise hum ki jagaya na ja saka daman ke dagh ashk-e-nadamat ne dho diye lekin ye dil ka dagh mitaya na ja saka kitni ghataen aain baras kar guzar gain shola hamare dil ka bujhaya na ja saka baaten hazar yun to harifon ki chhup gain 'wasif' ka raaz tha jo chhupaya na ja saka