wo jo ruthen yun manana chahiye zindagi se ruth jaana chahiye himmat-e-qatil badhana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai nam johd o jang ka maut kya hai bhul jaana chahiye hai inhin dhokon se dil ki zindagi jo hasin dhoka ho khana chahiye lazzaten hain dushman-e-auj-e-kamal kulfaton se ji lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye 'jigar' khud se milne ko zamana chahiye