wo kahan sath sulate hain mujhe

wo kahan sath sulate hain mujhe
khwab kya kya nazar aate hain mujhe

us pari-wash se lagate hain mujhe
log diwana banate hain mujhe

ya rab un ka bhi janaza utthe
yar us ku se uthate hain mujhe

abru-e-tegh se ima hai ki aa
qatl karne ko bulate hain mujhe

bewafai ka adu ki hai gila
lutf mein bhi wo satate hain mujhe

hairat-e-husn se ye shakl bani
ki wo aaina dikhate hain mujhe

phunk de aatish-e-dil dagh mere
us ki khu yaad dilate hain mujhe

gar kahe ghamza kise qatl karun
to ishaarat se batate hain mujhe

main to us zulf ki bu par ghash hun
chaaragar mushk sunghate hain mujhe

shoala-ru kahte hain aghyar ko wo
apne nazdik jalate hain mujhe

jaan gai par na gai jaur-kashi
baad-e-murdan bhi dabaate hain mujhe

wo jo kahte hain tujhe aag lage
muzhda-e-wasl sunate hain mujhe

ab ye surat hai ki ai parda-nashin
tujh se ahbab chhupate hain mujhe

'momin' aur dair khuda khair kare
taur bedhab nazar aate hain mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close