jo qurbaton ke nashe the wo ab utarne lage

jo qurbaton ke nashe the wo ab utarne lage
hawa chali hai to jhonke udas karne lage

gai ruton ka talluq bhi jaan-lewa tha
bahut se phul nae mausamon mein marne lage

wo muddaton ki judai ke baad hum se mila
to is tarah se ki ab hum gurez karne lage

ghazal mein jaise tere khadd-o-khal bol uthen
ki jis tarah teri taswir baat karne lage

bahut dinon se wo gambhir khamushi hai 'faraaz'
ki log apne khayalon se aap darne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close